We’ve updated our Terms of Use to reflect our new entity name and address. You can review the changes here.
We’ve updated our Terms of Use. You can review the changes here.

Tamaam Alam Mast

by Abbas Ali Khan

/
1.
Prelude 01:49
2.
Na hay Ibtida Mere Ishq Ki Na Hay Inteha Mere Ishq Ki Mera Ishq Hi Hay Mera Khuda Mujhay Aur Koi Khuda Na De Mujhe Bar Bar Sada Na De Meri Hasrton Ko Hawa Na De Mere Dil Mein Aatish-E-Ishq Hay Meri Aag Tujko Jala Na De Mein Gada Naheen Hoon Fakir Hoon Mein Qalandor Ka Ameer Hoon Mujhay Tujh Se Kuch Naheen Chahiey Mujhay Mangnay Ki Ada Na Day Mujhay Dard Soz o Gudaz De Mujhay Apnay Gham Se Nawaz De Tera Dard Bhi Mere Dil Mein Ho Mujhay Dard e Dil Ki Dawa Na De Mera Ishq Hay Meri Zindagi Mera Ishq Hay Meri Bandagi Mujhay Ashiqon Mein Shumar Kar Mujhay Ashiqi Ka Sila Na De
3.
Aey Re Sakhi 04:36
4.
Hairat-e-Ishq Nahin Shauq Junoonposh Nahin Bay Hijabana Chale Aao Mujhe Hosh Nahin Rind Jo Mujh Ko Samajhte Hain Unhein Hosh Nahin Maikada Saaz Hoon Main Maikada Bardosh Nahin Mehw-e-Tasbeeh Hi To Sab Hain Magar Idraaq Kahaan Zindagi Khud Hi Ibaadat Hai Magar Hosh Nahin Milke Jis Din Se Gaya Hay Koi Ik Baar Jigar Mujh Ko Yeh Wahem Hay Jaise Mera Aghosh Naheen
5.
Makade 05:31
Na To Mekade Ki Hai Justuju Na Talash-e-Bada-o-Jam Hai Jo Nafas Nafas Ko Pila Gayee Mujhey Us Nigah Se Kaam Hai Koi Mast Hai Koi Tishna Lab To Kisi Ke Hath Mein Jam Hai Magar Is Ko Koi Karey Ga Kia Yeh To Mekade Ka Nizam Hai Ye Janab-e-Shaikh Ka Falsafaa Hai Ajeeb Sarey Jahan Se Jo Wahan Piyo To Halal Hai Jo Yahan Piyo To Haram Hai Kabhi Roshi Kabhi Teergi Ye To Roz-o-Shab Ka Nizam Hai Yahi Zindagi Hay To Zindagi Tujhay Door Hi Se Salam Hai
6.
Khabar-e-Tahaiyur-e-Ishq Sun Na Junoon Raha Na Pari Rahi Na To Tu Raha Na To Mein Raha Jo Rahi So Bekhabari Rahi Chali Simt-e-Ghaib Se Ik Hawa Keh Chaman Zahoor Ka Jal Gaya Par Aik Shakh-e-Nihal-e-Gham Jise Dil Kahain So Hari Rahi Nazar-e-Taghaful-e-Yaar Ka Gila Kis Zubaan se Bayaan Karoon Keh Sharaab-e-Sad-Qadah Aarzoo Kham-e-Dil Mein Thi So Bhari Rahi
7.
Zihal-e-Miskeen Makun Taghaful Duraae Naina Banaae Batiyaan Ke Tab-e-Hijraan Nadaram Ae Jaan Na Leho Kahe Lagae Chatiyaan Shabaan-e-Hijraan Daraaz Chun Zulf Wa Roz-e-Waslat Cho Umr Kotaah Sakhi Piya Ko Jo Mein Na Daikhoon To Kase Katoon Andheri Ratiaan Cho Shama Sozaan Cho Zara Hairaan Hamesha Giriyaan Ba Ishq Aan Mein Naa Neend Naina Na Ang Chaina Naa Aap Awain Na Bhaigain Patiyaan
8.
9.
Mehfil 06:02
10.
Ishq Mein Tere Koh-e-Gham Sar Pe Liya Jo Ho So Ho Aish-o-Nishaat-e-Zindagi Chor Diya Jo Ho So Ho Aql Ke Madrase Se Uth Ishq Ke Meqade Mein Aa Jaam-e-Fana-o-Bekhudi Ab To Piya Jo Ho So Ho Hijr Ki Jo Museebatain Arz Keen Us Ke Rubaru Naaz-o-Ada Se Muskura Kehne Laga Jo Ho So Ho

credits

released September 2, 2020

license

all rights reserved

tags

about

Abbas Ali Khan Karachi, Pakistan

Almost a decade ago Abbas Ali Khan began his journey in the musical arena, casting himself as a pop musician with the Album "Sun Re". With the passage of time Abbas drifted towards the mystically rich Sufi themed tunes that can be heard on his latest album, Tamaam Alam Mast (Entire Universe in Ecstasy). ... more

contact / help

Contact Abbas Ali Khan

Streaming and
Download help

Report this album or account

If you like Abbas Ali Khan, you may also like: